Tuesday, July 19, 2005

Ek chehra…

Ek chehra pasand aaya hain
Usse apna banana hain
Phir wahin khel khelna hain
Jise aaj tak humne khela hain

Usko samjhenge, usko janenge
Uski baaton se usko pehchaanenge
Uss jaisa koi nahin hain iss bhram mein usse rakhenge
Phir apna asli rang dikhayenge

Yeh tum kya keh rahein ho aey matlabi insaan
Woh chehra koi khilona hain jo uss se kheloge
Woh bhi ek insaan hain jo ji raha hain
Usse bhi dard hota hain

Tumhein woh dost samjhega
Tumse dilki baatein karega
Tumhaari aadatsi pad jaayegi usse
Tumhaare bin shaayad woh tadpega

Arre maine dosti ke baarien mein kaha hain
Tum kya arth laga rahein ho
Maana ki bhram ki baat kehkar
Maine apne iraadon ko utna nek nahin rakha hain

Par tum hi kaho mujhse
Kaun bhramit nahin hain iss duniya mein
Sabko lagta hain duniya unki mutthi mein hain
Jab reth jaisi cheez bhi woh zyaada der tak nahin pakad saktay hain

Asli rang ka matlab yeh nahin ki hamara iraada kuch aur hain
Par humko samajhna itna aasan kaam nahin hain
Gar hum uss se hum bankar mile
Toh shaayad woh chakit ho jaaye
Aur dosti karne se pehle hi humko bhool jaye

Theek hain hum tumko rok na paayenge
Tumhein agar koi chehra pasand aaya hain
Toh jaao aur paao usse
Par yaad rakho ek baat
Chehre se zyaada uske dil ki khoobsurati par dena dhyaan

Hum jaantey hain hamein kya karna hain
Hum sirf mukh nahin mann bhi dekhte hain
Uss chehre mein hi aisi kuch baat hain
Jo kehti hain ki mera mann bhi sunder hain

Uss se dosti karnenge
Uss se rishta nibhayenge
Par agar uss se ub gayein
Toh doosre chehre ki talaash mein nikal jaayenge

Uski yaadein hamesha hamaare paas rahengi
Uski hum hamesha madat karenge
Par shaayad utni mulaqaatein nahin hongi ab uss se
Kyonki hum jaantey hain woh bhi humse nahin milna chahenge

Yeh sab kuch aise hoga
Jaise aaj tak hota aaya hain
Humko nahin kisine dosh diya
Haalat ne hamesha uska boj uthaya hain

Friday, July 15, 2005

Maine toh...

Maine toh hamesha bharosa kiya hain doosron pe, apna samajhkar
Par na jaane kyon tod dete hain woh mera dil, khilona samajhkar

Maine toh hamesha koshish ki hain doosron ko samajhne ki
Par na jaane kyon nahin jan na chahtey hain woh haalat mere dil ki

Pataah nahin kyon bheja hain mere Bhagwaan ne mujhe, iss dharti par
Shaayad Woh bhi mujhe bhool gaya hain, sapna samajhkar.