Friday, July 15, 2005

Maine toh...

Maine toh hamesha bharosa kiya hain doosron pe, apna samajhkar
Par na jaane kyon tod dete hain woh mera dil, khilona samajhkar

Maine toh hamesha koshish ki hain doosron ko samajhne ki
Par na jaane kyon nahin jan na chahtey hain woh haalat mere dil ki

Pataah nahin kyon bheja hain mere Bhagwaan ne mujhe, iss dharti par
Shaayad Woh bhi mujhe bhool gaya hain, sapna samajhkar.

4 Comments:

Blogger wats the need said...

dil ko agar khilona bana kar pesh karogi to khelne wala khilone se khelega hi aur khelte khelte khilona toot hi sakta hai.........
aap ne koshish ki hamesha doosron ko samajhne ki........to kya aap is ke liye return chahti hain jo aap ko shikayat hai ki kyon doosre aap ko nahi samajhte?.........
REMEMBER BE LIKE GRAVES....NEITHER THE PRAISE NOR THE CRITICISM WILL AFFECT U...JUST DO WAT U SHD DO
aur dosh bhagwan ko kyon??? us ne to tumhe jis halat main is duniya main bheja us halat main jane kitne hi aate hain ....kuch to tumhare se bhi mushkil halat main aate hain aur phir zindagi kis tarah se jeena hai ye us person par depend karta hai na ki BHAGWAN par....WHERE THERE IS A WILL THERE IS A WAY

10:31 PM  
Blogger Amrita said...

This comment has been removed by a blog administrator.

6:07 AM  
Blogger Amrita said...

mujhe nahin aata hain apne aap ko pesh karna
main koi cheez nahin hoon dikhavat ke liye
jo mere mann mein hain
wahin hain mere mukh mein

shikayat unse kartey hain jinhe apna samajhtey hain
shaayad samajh mein hi dosh hain

mujhe mat batao kabron ke baare mein
maine roz dekha hain
zindagi ko dum todte huay>

USS SE kya kahe kya nahin
iss baarein mein sochna pada
toh lagta hain shaayad har saans jo hum lete hain
uski keemat chuka rahein hain hum>

6:09 AM  
Anonymous Anonymous said...

Khuda ney tumhe banaya hai,
To manzil bhi bhi di hogi aankhon mey,
Har thokkar pe yun maayuus na hua karo,
khushiyaan bhi bhikheri hain usne in raahon mey:)

4:44 AM  

Post a Comment

<< Home