Monday, December 19, 2005

Yeh Aankhein... ;;)

Kitni khoobsurat hoti hain
Kitnay hi khwaab sanjoti hain
Saagar se gehri hoti hain... yeh pyaari aankhein

Kabhi muskurati hain
Kabhi udaas ho jaati hain
Kabhi yuhin kahin kho jaati hain... yeh manchali aankhein

Sacchai in mein jhalakti hain
Dil ka haal yeh bayaan karti hain
Chupana ho phir bhi kuch keh deti hain... yeh naadaan aankhein

Inhein churaoge toh pakde jaaoge
In mein kho gaye toh khud ko bhool jaaoge
Kashish hi kuch aisi in mein paaoge... yeh jadoobhari aankhein

Chupp rehkar bhi bahut kuch keh deti hain
Mann ka aaina kehlati hain... yeh anmol aankhein

Saturday, October 22, 2005

Kaafi arsa…


Kaafi arsa ho gaya hain tumse baat kiye
Kaafi waqt gujar chuka hain tumse miley
Maana ki sab kuch khairiyat se hi hoga
Par koi saans le raha hain bina jiye

Aisi bhi kya majboori jo tum yun chhip rahein ho sabse
Iski parvaah na karo ki duniya kya sochegi…
Kiraya jo nahin chukaya hain tumne kabse !!!


Monday, August 29, 2005

Meri liye…ho Tum

Meri milkiyat ho Tum
Mera haq hain Tum par
Duniya ke liye chahe jo bhi ho
Mere liye…aey mere dost…meri zindagi ho Tum

Tuesday, July 19, 2005

Ek chehra…

Ek chehra pasand aaya hain
Usse apna banana hain
Phir wahin khel khelna hain
Jise aaj tak humne khela hain

Usko samjhenge, usko janenge
Uski baaton se usko pehchaanenge
Uss jaisa koi nahin hain iss bhram mein usse rakhenge
Phir apna asli rang dikhayenge

Yeh tum kya keh rahein ho aey matlabi insaan
Woh chehra koi khilona hain jo uss se kheloge
Woh bhi ek insaan hain jo ji raha hain
Usse bhi dard hota hain

Tumhein woh dost samjhega
Tumse dilki baatein karega
Tumhaari aadatsi pad jaayegi usse
Tumhaare bin shaayad woh tadpega

Arre maine dosti ke baarien mein kaha hain
Tum kya arth laga rahein ho
Maana ki bhram ki baat kehkar
Maine apne iraadon ko utna nek nahin rakha hain

Par tum hi kaho mujhse
Kaun bhramit nahin hain iss duniya mein
Sabko lagta hain duniya unki mutthi mein hain
Jab reth jaisi cheez bhi woh zyaada der tak nahin pakad saktay hain

Asli rang ka matlab yeh nahin ki hamara iraada kuch aur hain
Par humko samajhna itna aasan kaam nahin hain
Gar hum uss se hum bankar mile
Toh shaayad woh chakit ho jaaye
Aur dosti karne se pehle hi humko bhool jaye

Theek hain hum tumko rok na paayenge
Tumhein agar koi chehra pasand aaya hain
Toh jaao aur paao usse
Par yaad rakho ek baat
Chehre se zyaada uske dil ki khoobsurati par dena dhyaan

Hum jaantey hain hamein kya karna hain
Hum sirf mukh nahin mann bhi dekhte hain
Uss chehre mein hi aisi kuch baat hain
Jo kehti hain ki mera mann bhi sunder hain

Uss se dosti karnenge
Uss se rishta nibhayenge
Par agar uss se ub gayein
Toh doosre chehre ki talaash mein nikal jaayenge

Uski yaadein hamesha hamaare paas rahengi
Uski hum hamesha madat karenge
Par shaayad utni mulaqaatein nahin hongi ab uss se
Kyonki hum jaantey hain woh bhi humse nahin milna chahenge

Yeh sab kuch aise hoga
Jaise aaj tak hota aaya hain
Humko nahin kisine dosh diya
Haalat ne hamesha uska boj uthaya hain

Friday, July 15, 2005

Maine toh...

Maine toh hamesha bharosa kiya hain doosron pe, apna samajhkar
Par na jaane kyon tod dete hain woh mera dil, khilona samajhkar

Maine toh hamesha koshish ki hain doosron ko samajhne ki
Par na jaane kyon nahin jan na chahtey hain woh haalat mere dil ki

Pataah nahin kyon bheja hain mere Bhagwaan ne mujhe, iss dharti par
Shaayad Woh bhi mujhe bhool gaya hain, sapna samajhkar.

Saturday, June 04, 2005

Kya farq padta hain kisiko...

Akele hi aaye hain iss duniya mein
Akele hi jaanaa hain
Beech mein jo lamhein beetenge
Unse kya farq padta hain kisiko

Badi umeed thi dil mein
Jahaan mein apna wajood banana hain
Iss mein kaamyaab ho ya naa ho
Uss se kya farq padta hain kisiko

Dil bhi ajeeb deewana hain
Khwaab dekhta hain aise jo kabhie na honge puray
Main khush hoon ya udaas
Uss se kya farq padta hain kisiko

Par jeena toh padega hi zindagi ko
Mere bhagwaan ki jo marzi hain
Usne hi kuch socha hoga mere liye
Varna uski iss duniya mein mera kya haal hain
Uss se kya farq padta hain kisiko